Social Icons

Pages

Tuesday, March 12, 2013

Dost tu boht hain, baat magar uss ma kuch khass hia


Dost tu boht hain, baat magar uss ma kuch khass hia
Door reh k b lagta hai jaisay dil k wo meray pass hai,

Jee bhar k dekhnay ka ussay irdaa rakhtay hian hum
Samnay ajaiy wo meray, Ankhoun ki wo meri payaas hai.

Juda hu k mujh sa, meri tarhan wo b khush na hu ga
khus fahmi hia meri, ya phir mery dil ki Aaas hai

Kash kay uss sa milnay ka koi sabab paida hu jaiy
Ya Raab Jeewan mera ,  bin uss k boht udaaas hai.

Choho loun ussay tu shayd ma apna hosh ganwa betoan
Gulaab ki naram patayoun ka sa woh huseen ehsaas hai








No comments:

Post a Comment